Search

Top Jokes



Shayari

Mar 3, 2014

Bikhre armano ka sametna hai shayari,
Ya fasano ka bayan karna hai shayari,
Kuch alfazo ka mukaddar hai shayari,
Ya izhar mohobbat ka mukam hai shayari,
Sabdo ko dhago mein pirona hai shayari,
Ya kore kagaz par bhawna sajana hai shayari,
Alfazon se saj ek sundar murat hai shayari,
Ya jasbato ko benakab karna hai shayari,
Bepanah pyaar dikhana hai shayari,
Ya lage jakhmo ka marahum hai shayari,
Jalti shama ke saath mehfil roshan karna hai shayari,
Ya shayaro ki ek pehchan hai shayari


No comments:

Post a Comment

 

Join Me on Facebook

Archive

Blog Widget by LinkWithin